yrp editz vn filter free download yogesh editography.in

yrp editz vn filter free download yogesh editography.in

Vn Video Filters

Hi dosto kesa hai sab aaj ki is new post mein me apko yrp editz yani ki yogesheditography.in website ke vn video editor ke free filter dene wala hu or sath mein apko free tips or tricks vn editor ke bareme batane ja raha hu. Apko me yeh sab bilkul muft me batane wala hu toh apse request he ki is post ko end tak read kare. Or agar apko Lightroom ke preset or jyada filters download karne hoto ap hamri iss website per se lesakte hai

Vn editor yellow tone filter

Dosto mein apko jo aj filter download karne ke liye dene wala hu wo hai vn yellow tone filter iski madad se ap apne video ke orginal se yellow tone effect de sakte hai iss filter ko sirf vn app mein hi nahi ap chahe toh isko premier pro ya fir final cut Pro X mein bhi use kar sakte hai kyuki yeh luts ki video editing file sabhi software mein support karti hai or iski madad se ap apni videos ko bahot hi asani se editing kar painge. Is filter ki link mene isi post ke end line mein attached ki hai ap waha se isko apne device mein download kar sakte hai.

Vn editor me filter ko add kaise kare

Dosto vn video editor mein filter ko add karna or usko sahi se use bahot hi asan hai luts ko sahi tarike se add karne ke liye sabse phele apko vn video app ko download karlena hai download karke ke badh usko opin karna hai fir sabhi permission ko check karle allow karna hai. Uske bad apko add new videi me click karna hai uske bad add new project per click karna hai usse phele apko bata du ki phele vn video editor mein unlimited protects editing ka option tha per ab ki recent updates ke bad free users ke liye sirf 100 free projects diye gaye hai agar apko unlimited chaiye toh apko iska pro version lena hoga.

Toh chaliye ab filter adding process ko agge badate hai toh jaise ki mene bataya apko ki apko add new project per click karna hai or uske bad apko koi bhi video ya photo ko add karna hai jisko ap editing karna chahte hai dosto apko ek or bath batana toh mein bhul hi gaya tha ki ap vn app mein sirf video ko hi nahi photos ko bhi editing kar sakte hai. Ab apke maan me yeh question jarur aa raha hoga ki bala video editor ap mein photo editing ka kya kaam toh dosto iska answer ye hai ki apne reels trending mein photo sliding toh jarur dekhi hogi jo music ke dath sync hoti hai beats per shake effects se jyada log edit karte hai toh ussi me yeh photo editing in vn app kam ata hai. Or agar ap chahte toh is tarah ki bhi editing kar sakte hai iss tarah ki reels or shorts video bahot viral hote hai.

Toh guys new project ke badh photo ya video ko add karlena hai uske bad apki koi bhi ek filter yaniki luts effect ko download karlena hai or agar wo filter wali file zip lock file fomat hai toh usko phele unzip extract karlena hai uske bad apko luts ki file ko kisi bhi folder mein add karke rakh lena hai uske ad vapis apko vn application mein ana hai uske bad apko waha per filter ka icon dikega usper tap karke click karna hai fir apki file manager auto open hojaigi waha se apko lut ki locate karke us filter ko click karke add karna hai fir apko add karne ke bad flus filter per click karna hai toh apki filter apply hojaigi. Bas itna proccess tha dosto.

 

Filter free download kaise kare –

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *